madar-e-waqt se ek jura-e-nayab lete hain yunhi jite chale jate hain bas lamhon ki dhadkan mein khizan ka git sunte hain bahaar-e-zindagani mein khumar-e-raegani mein hamare panw raste mapte hain shahr-o-sahra ke magar manzil nahin milti safar to jari rahta hai phir aakhir ek din jab waqt bagen khinch leta hai to khulta hai isi bahte hue dariya mein apne khwab ka sona bikharna hai hamare jism ka sauda isi mitti se hona hai fana ka zaiqa chakhte hue is qulzum-e-hasti mein hum ko dub jaana hai jise jiwan samajhte the sarasar ek dhoka hai yahi lamha bhabhuka hai