ab ye ehsas dam-e-fikr-e-sukhan hone laga apni hi nazmon ka bhula hua kirdar hun main main musafir hun bayaban-e-faramoshi ka apne naqsh-e-kaf-e-pa se bhi shanasai nahin ta-ba-pahana-e-nazar ret ke tilon ka sukut apna saya bhi yahan monis-e-tanhai nahin tir ban kar koi sannate ke dil mein utre kisi mayus parinde ki sada-e-tanha zakhmi aahu-e-ramida ki ada-e-tanha kash pal bhar ko utar aata khuda-e-tanha main kisi aazar-e-gumnam ka but hun shayad jis ki qismat mein koi chashm-e-tamashai nahin izn-e-fariyaad nahin rukhsat-e-goyai nahin dur us par shafaq rang guphaon se pare zer-e-mehrab-e-falak qafila-e-umr-e-rawan tan udate hue sarmast o jawan guzra tha mah-nishan najm-chakan mehr-inan guzra tha khun rulata hai subuk-gami-e-mahmil ka saman ab bhi kaunda sa lapakta hai ghataon se pare main bhi us waqt sar-e-rah tha hairan hairan pa-barahna nazar-awara tan-afgar khamosh dard se mohr-ba-lab surat-e-diwar khamosh khalish-e-hasrat-e-jaan thi ki koi pahchane shama si dil ke nihan-khane mein larzan larzan mujh pe kya bit gai kaun sune kya jaane chashm-e-khun-basta ko aaseb ka maman samjha qafile walon ne shayad mujhe rahzan samjha