ganga dariya ki lahron ki ranai ka kya kahna kaisa pyara pyara hai is ka bal kha kha kar bahna koh-e-himala ki unchi jhilon se nikal kar aata hai wadiyon aur nashebon mein tezi se chal kar aata hai tadta mudta girta padta aage badhta rahta hai pag pag par is ka pal pal mein pani chadhta rahta hai jharna ban ban kar girne mein manzar khub dikhata hai pighli hui chandni ki chadar patthar par phailata hai maidanon mein aa kar dhimi dhimi chaal se chalta hai lahraata hai ithlata hai bal khata hai machalta hai us ki pyari pyari lahren dekh ke dil lahraata hai wo bhi pani ke dhaare ke sath hi bahta jata hai is ki pyari shobha dekh ke sab nar nari jite hain aankhon hi aankhon mein is bahte amrit ko pite hain chhote chhote aur bhi dariya is mein milte jate hain jaise bachche humak humak kar man ki god mein aate hain ye bhi apni godi mein in sab ko pyar se leta hai chhod ke wo is ko nahin jate kuchh aisa sukh deta hai is dariya se nikli hain aisi pyari pyari nahren dil ko lubhane wali hain jin ki banki banki lahren karti hain sairab ye nahren bhaarat ke maidanon ko taqat ye de deti hain lakhon kamzor kisanon ko lakhon hi bighe kheti hoti hai in se hari-bhari jangal sahra khet chaman bante hain in se sabz-pari in nahron ki harakat se zarkhez zamin ho jati hai in nahron ki barakat se zar-rez zamin ho jati hai nahren ye lakhon hi insanon ke dil ka sahaara hain nahren ye sab un ki aashaon ka bahta dhaara hain bahte rahna is ka nit ye baat batata rahta hai jo paiham kuchh karta hai phal is ka pata rahta hai bhaarat ki khidmat se is ne itni azmat pai hai khidmat kar ke khidmat ki khub is ne rah dikhai hai hum bhi apni koshish se sarsabz banaen bhaarat ko pabandi ki zillat se aazad karaen bhaarat ko ganga dariya kya hai 'nayyar' ye allah ki rahmat hai ganga dariya kya hai hamare des ke haq mein neamat hai