akad shah ne doston se kaha mujhe to zehanat hui hai ata kaha doston ne akad shah se wo phansta hai aksar akad ho jise akad kar akad shah kahne laga akad mere andar nahin hai zara main kyon khud ko be-aql-o-majnun kahun tawazoa ki khatir ghalat kyon kahun tabassum chhupa kar kaha dost ne agar tu kahe aazmaen tujhe zahin hai to de hum ko tu barah sau samajhdar gar hai to de gyarah sau akad shah bola na manunga haar mere pas kal aana ai mere yar main teis dene ko tayyar hun ki main to zahin aur samajhdar hun kaha dost ne ai zahin chal bata bani murghi pahle ki anda bana akad shah pahle hansa phir kaha jawab us ka bilkul hai aasan sa mujhe pahle murgha banaya gaya waraq par phir anda banaya gaya phir ek din usi dost se jab mila to wo dost us se ye kahne laga bahut hi bade ho gae baal ab hajamat karaoge tum apni kab bulaya tumhein goya hajjam ne dukan us ki dekho wo hai samne magar tund bilkul na karwana tum ki ho jati hai thand mein sitti gum akad shah hajamat karane chala ki ye mashwara us ko achchha laga jab agle din us dost se wo mila use pa ke ganja wo hairan hua kaha dost ne bhai ye kya kiya ye kis ne tujhe pura ganja kiya bataya akad shah ne hanste hue ki hajjam ke pas khulle na the diye main ne hajjam ko sau rupae kate the mere baal bas tis ke kaha main is se na ghabra zara tu sattar ka ab pher le ustura 'usama' se qisse akad shah ke na jaoge sun kar bina wah ke