ye chidiyan chahchahati hain to un ko chahchahane do parindon ko darakhton par khushi ke git gane do zamin par abr ki har bund ko naghme sunane do falak par laili-e-qaus-o-quzah ko muskurane do mera dil sard hai mujh ko yunhi behosh rahne do mujhe khamosh rahne do faza-e-dahr labrez-e-masarrat hai to mujh ko kya agar duniya kharab-e-aish-o-ishrat hai to mujh ko kya jo mamur-e-sada saz-e-mohabbat hai to mujh ko kya jahan ko mere naghmon ki zarurat hai to mujh ko kya mujhe apne khayalon hi se hum aaghosh rahne do mujhe khamosh rahne do mujhe fursat nahin hai fart-e-gham se sar uthane ki garan hai mere dil par shorish-o-kawish zamane ki abhi kadiyan murattab ho rahi hain ek fasane ki abhi saat kahan hai dastan-e-dil sunane ki kisi ki yaad mein mujh ko tasawwur-kosh rahne do mujhe khamosh rahne do jo main bola to sab ko apne ashkon mein bhigo dunga dil-e-insan mein gham ke sainkadon kante chubho dunga jo main bola to goyai zamane-bhar ki kho dunga jo main bola to duniya ko khamoshi mein dubo dunga yahi behtar hai khalwat mein mujhe khamosh rahne do mujhe khamosh rahne do