ajnabi apne qadmon ko roko zara jaanti hun tumhaare liye ghair hun phir bhi thahro zara sunte jao ye ashkon-bhari dastan sath lete chalo ye mujassam fughan aaj duniya mein mera koi bhi nahin wo gharaunda nahin jis ke sae tale boriyon ke tarannum ko sunti rahi phul chunti rahi git bunti rahi meri nazron ke sahme hue aaine meri ammi ke abba ke aapa ke aur mere nanhe se masum bhayya ke khun se hain dahshat-zada aaj meri nigahon ki viraniyan chand majruh yaadon se aabaad hain aaj meri umangon ke sukhe kanwal mere ashkon ke pani se shadab hain aaj meri tadapti hui siskiyan ek saz-e-shikasta ki fariyaad hain aur kuchh bhi nahin bhuk mitti nahin tan pe kapda nahin aas madum hai aaj duniya mein mera koi bhi nahin aaj duniya mein mera koi bhi nahin ajnabi apne qadmon ko roko zara sunte jao ye ashkon-bhari dastan sath lete chalo ye mujassam fughan meri ammi bano mere abba bano meri aapa bano mere nanhe se masum bhayya bano meri ismat ki maghrur kirnen bano mere kuchh to bano mere kuchh to bano mere kuchh to bano