be-qarar phans gai mazi ke tah-khane mein mustaqbil ki tang nabz-e-dauran nim ke sae tale baithi rahi aur phir qalb-e-muztar mein kukurmutte uge chashm-e-fitrat ka chura kar le gaya kajal koi kankhjure sans se chipke hue ghurte hain marmarin idrak ko khet mein leti hai diwane ki ruh kud jao aansuon ki jhil mein aaj dhurpad ga rahi hai chandni ek sitara dusre par gir pada falsafi ke ghar mein tilcahitte bhatakte rah gae ghus gaya bhus aankh mein aakash ki nind aanton ko chabaati jae hai phephadon mein fuzla-e-ehsas hai mahw-e-khiram raushni ko koele ki kan se fursat kahan dosto aao langoti bandh len