mujhe to be-sukun sa kar gaya us shokh ka kahna haqiqat ke taraazu mein kabhi taula hai jazbon ko mohabbat ke taqaddus ka bharam rakkha kabhi tu ne kabhi be-sakhta lipta hai mahrum-e-sabahat se kabhi haal-e-kaji puchha hai mashur-e-qabahat se kabhi dasht-e-junun pata hai jazbaat-e-iradat se kabhi sarsar se talkhi ka sabab puchha matanat se kabhi tarjih di khak-e-chaman par reg-e-sahra ko gul-o-bulbul se hat kar bhi kabhi dekha hai fitrat ko gul-o-bulbul baja lekin chaman mein khar bhi to hai sabahat waqf-e-gulshan hi nahin kohsar bhi to hain kai poshida az fikr-o-nazar shahkar bhi to hain ghalat hain nasiya-farsaiyan teri talab teri teri rahen juda hain ahl-e-dil se ahl-e-hasrat se tera husn-e-nazar mahdud hai zati maqasid tak teri ye shapra-chashmi hi tujhe barbaad kar degi