dariche mein khadi barish ko sadkon par baraste dekhti hun sochti hun dukh ko apne nam kya dun main tamannaon ko girwi rakh ke khwabon ke sabhi dar-band kar ke kitni mushkil se chhuda kar apna daman chhat aur aangan ki tamanna se faqat ek ghar ki khwahish mein ye zindan mol le kar is pe apne nam ki takhti lagai hai bas ek khwahish hai jo sawan-ruton mein dil bahut be chain rakhti hai ki main sawan ki thandi narm bauchhaaron ka resham lams apne tan badan par odh leti hai magar kuchh yun main barish dekh to sakti hun is ko chhu nahin sakti