mera raj-kumar

bahut khush thi main aaj
na hoti main kash

kisi ki zarur nazar lagi hogi
kisi ko to main khush buri lagi hongi

kisi ne to mere aansu mange honge
kuchh to mujh se wo chahte honge

ki nazar se andhi ladki ko
khushiyan nazar na aaen

ki phir se koi tufan is par
ghamon ka pahad lae

aur dekho to ye nazar bhi kya khub kheli
mujh se meri har hansi le li

zindagi chhin mujhe rah par la diya
ai nazar ye tu ne kya kiya

mujhe aisa pati de diya
jaante hain main bahut khush thi aaj

ye din pahle aaya hota kash
main sanwar saj rahi thi

dil mein shahnai baj rahi thi
koi to raj-kumar tha

jo mujhe pane ko be-qarar tha
mujh se pyar bahut wo karta tha

mujhe khone se bhi darta tha
is liye to

han roi thi main
par widai par bhi khush thi

dil main ummiden kuchh thi
chehra un ka dekhna mera sapna tha

wo chehra jo ab se mera apna tha
wo chehra jise mahsus kiya karungi

na jaana wo chehra jis se main roz dara karungi
kyunki wo chehra koi to raj-kumar tha

mujhe pane ko be-qarar tha
widai ke baad ki raat aai thi

main pahli bar pyar se kuchh yun sharmai thi
aankhen na sahi par dil mere pas tha

us dil mein basa ab koi khas tha
main kan laga kar sunti rahi

bin aankhen bhi rahen takti rahi
isi soch mein raina bitti gai

meri khushiyan har soch se jitti gai
aakhir pyar main ne paya tha

ye pyar mujhe jannat mein laya tha
biti raat ka phir intizar ruka

ek dam se mere kamre ka darwaza khula
isi beach mein kuchh aahat hui

jis se khushi nahin mujhe ghabrahat hui
kaun hai mera barso purana sawal tha

tumhaara pati is jawab ka khayal tha
aisa laga mano ye akele na the

sath mein in ke kuchh mehman the
shayad chhedne aae honge

mujh tak in ko lae honge
par nahin ye aawazen qarib thi

behad qarib
jaise wo kamre mein maujud hon

jaise khatre mein mera wajud ho
main uthne wali thi

kuchh puchhne wali thi
ke tabhi ek hath ruka mere kandhon par

phisalne laga mere galon par mere baalon par
mujhe achchha na laga

ye pyar sachcha na laga
kuchh to gadbad chal rahi thi

meri ruh jal rahi thi
kuchh kahna chahti thi

kuchh jaanna chahti thi
kuchh puchhna chahti thi

main sahi thi wo akele na the
par sath mein un ke mehman na the

wo haiwan the ye haiwan the
mujhe parat dar parat wo kholte gae

main chillati rahi wo mujhe nochte gae
bari bari se meri jism shikar hua

mera dil bharosa sab tar tar hua
us ki hansi mujhe chubh rahi thi

ungliyan wo mujhe dikhi rahi thi
main dekh nahin sakti thi

par an-dekhi kaise karti
main ne khwab bune the

kuchh lamhe chune the
un ke sath bitane ko

unhen apna banane ko
kyunki

ye wo raj-kumar tha
jo mujhe pane ko be-qarar tha

mujh se pyar bahut karta tha
mujhe khone se bhi darta tha

is liye to
meri izzat ko tar-tar kiya

mujhe tod diya mujhe mar diya
jaane man ginti mat rokna ginti rahna

jaane man kyun maza to aa raha hai na
aise ek dulhan ki tarif ho rahi thi

aise ek dulhan ki qismat so rahi thi
aise ek raat shant ro rahi thi

aise meri suhag raat ho rahi thi
main tham se gir gai

laga unhen main mar gai
sab jaane lage

to mere pati mere pas aane lage
mujh se pyar jo karte the

mujhe khone se jo darte the
mujhe pyar se aa kar wo kosne lage

be-jaan sharir ko phir wo nochne lage
sharab ke nashe mein wahin pade dolne lage

hath marod kar
kharab raat ko bolne lage

phir achanak ek dard ne jaise tamacha mara
na jaane kahan se himmat ka sailab aaya

himmat jo dil tutne ki thi
himmat jo khwab ruthne ki thi

himmat jo bhag phutne ki thi
himmat jis ki zarurat na jaane kitni thi

main ne jhat se dhakka diya
un ki haalat ko pakka kiya

main kamre mein ghumne lagi
shayad kuchh dhundhne lagi

idhar udhar hath pherne lagi
pahli bar main aankh-micholi khelne lagi

kahin to kuchh mil jae
jis se meri jaan bach pae

main bhag sako yahan se bach kar kaise
par sabaq un ko sikhaun kaise

tabhi kuchh hath mein pini chiz lagi
shoalon ko jaise machis mili

main ne wahi utha kar de mara
ek do tin

jaane man ginti mat rokna ginte rahna
jaane man kyun maza to aa raha hai na

bilkul
main ginti nahin rokun gi ginti rahungi

tere andar se khun ban kar girti rahungi
un ki chikh sukun de rahi thi

har aah dobara ginne ka junun de rahi thi
par mujhe nikalna tha

so bach kar wahan se bhag nikli
jab aai hon yahan to bas ek chikh nikli

aankhon ke bin main ne duniya dekh li
apne hi hathon se main ne jang jit li

ab ja kar kahin nai duniya dekhungi
phir kahin ke logon se kuchh naya dekhungi

to us ke liye nikalti hun
zara pairon mein dam bharti hun

par us se pahle
jab itna suna to nam bhi sunte jao

mera kaam bhi to sunte jao
main hashiya andhi hun

khuda ki wo bandi hun
jo andhon ko ladna sikhati hun

jab koi chiz daraati hai
un par koi musibat aati hai

main hashiya andhi hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close