meri mahbub ye aansu hain ki moti rukh par un ko is tarah na bekar ganwa man bhi ja abhi jalne de ye sina abhi phatne de dimagh aatish-e-gham ko na ashkon se bujha man bhi ja ye nahin hai ki main is dard se aagah nahin tu gham-e-dahr pe roti hai pata hai mujh ko jaanta hun main ki is gham ki haqiqat kya hai yahi gham aur isi shiddat se hua hai mujh ko han magar hum hi nahin is ke shikanje ke shikar apni hi tarah zamane mein hazin aur bhi hain apne sine hi nahin ranj-o-alam ke madfan dard ke raaz to poshida kahin aur bhi hain hath par hath dhare sab hon agar girya-kunan phir un ashkon ka kare kaun mudawa aakhir kis tarah dukh ye talen zakhm bharen dagh miten in tamannaon ko de kaun sahaara aakhir aaj bebas hain to kya aaj hain majbur to kya bebasi hi pe nahin khatm kahani apni gham ke shoalon ko hawa de ke agar tez karen rang laegi yahi shoala-fishani apni khud-kushi qabr main bhejegi hamein gham ko nahin marg-e-hasti mein kahan hai gham-e-hasti ka ilaj qabr mein lashen hi lashen hain tamannaon ki maut ke pas kahan apni gharibi ka ilaj gham ke zarron ko sametun ki bade kaam ke hain ye simat jaen to ho jae himala paida dard ki aag ko sine mein waba rahne do jab ye bhadkegi to kar degi ujala paida