duniya ke bakhedon se ulajhte hue kal achanak meri nazar padi to dekha ki zindagi ki hatheli se sari lakiren ghaeb ho gai hain siwae ek lakir ke na chhoti lakiren na badi na maddham na gahri na mudawwar aur na mustaqim na donon hatheliyon ko jod kar banta koi chand na un lakiron ki ot se jhankta kisi sohni ka chehra aur na hi un mein ulajhta kisi mahiwal ka dil ye kaisi hatheli hai bilkul sapat be-rang titliyon ka koi rang nahin in pe aur yak-lakht main ne dekha ki hatheli ke sahra mein khadi 'umr ki tanha lakir bhi mitti ja rahi thi aur zindagi zindagi ke udas chehre pe main ne amaltas ki zardi utarte dekhi na-karda jurm ke bojh tale sar jhukae nazren churaati hui dabe panw khisakne ki tayyari karti hui us ki aankhon ki chamak lamha-ba-lamha phiki padti ja rahi thi aur tab main ne sari quwwaten jam' kar ke black marker uthaya aur zindagi ki khali hatheli pe aadi tirchhi be-dhangi lekin ba-mani aur pakki lakiren khinchne ki than li