ali-baba ye ujlat himmaton ko past karti hai mohabbat raste mein maut ko tajwiz karti hai hawas teri ghane jangal se choron ko meri basti mein le aai wo chaalis chor basti ke gali-kuchon mein ab maqtal sajate hain ali-baba khazana pane ki ujlat tere mazi ki mahrumi ka abtar shakhasana hai ye teri bad-nasibi se bhi bad-tar ek fasana hai nahin hai koi marjina, teri achchhi kanizon mein jo basti ko bacha leti salamat hai na tera ghar na mera dil na ab darbar-e-shahana? tujhe kya hai? hawas teri rahe baqi ye basti aag ki taswir ho jae agar ye rakh ka hi dher ho jae tujhe kya hai? kanizon khasa-daron aur ghulamon se tujhe fursat nahin milti wahi baghdad jis ke sab gali-kuche kabhi the mah-washon ke gul-rukhon ke aaina-khane sitare aasman se jhuk ke jin ko roz takte the jo auraq-e-musawwar the wahan par dhul udti hai har ek jaanib ajal ki hukmarani hai zamin par aag jalti hai zamin par aag jalti hai ali-baba khazana pane ki masarrat se ziyaada ab aziyyat hai khazana pane ki ujlat hawas teri ghane jangal se choron ko meri basti mein le aai koi sim-sim koi bhi ism-e-azam ab hamari mushkilen aasan nahin karta koi darman nahin karta