waqt ne puchha kya tum mujh ko jaante ho han kya tum mujh ko mante ho nan kya matlab hai kya matlab tha waqt bhi chup hai jaane wo kab kya bolega aaj ki kitni baaton ko bhi kaise kaise badalne wale bante bante gham se khushi se aur hairat se apni aankhen malne wale mizanon mein dandi mar ke ya sachchai se taulega aur phir main bhi chup na rahunga lekin jo is waqt mujhe bhi kahna lazim ho wo kah na sakunga shayad wo sab sah na sakunga han bhai le is lamhe main tujh ko manta bhi hun ab ye chhod ki jaanta bhi hun jo tu chahe aaj bata de warna mujh ko abhi bhula de kaun ab kya kya kis ko sikhae jo bole wo mara jae ai 'mira-ji' aap ko to sab bhul gae hain aap yahan aur mujh jaise matub-e-zaman ko aakhir ik-dam kyun yaad aae