markaz-e-ilm-o-hunar mai-kada-e-soz-o-saz sajda-e-shauq se aabaad hai rindon ka haram jam-dar-jam hai sahba-e-junun-e-hikmat dekhna ho to koi dekh le saqi ka karam mai-gusari ka ye andaz na dekha hum ne sab ke dukh dard ka ehsas nashe ka aalam ek hi aag se har ruh jala pati hai ho gae ek hi shoale mein sharare mudgham apne har daur ki tahrik ka aaina liye phir uthata hai ali-gadh nai duniya mein qadam rah dushwar mein ek kafila-e-nikhat-o-nur sang-e-khara ki chatanon ke muqabil hai khada tut jaega bahut jald tilism-e-imroz nur-e-farda ke tabassum mein badal jaega