zindagi ishq ki wahshat-bhara afsana thi mere hathon mein wo ek zahr ka paimana thi ruh ka gham ma-e-gulfam se kam kya hota koi tiryak ba-juz wasl-e-sanam kya hota kho gai 'parbati' roti rahi 'chandrmukhi' zindagi lutti rahi rah-guzaron mein meri ghamgusaron ki bhi yaad aai magar bhul gaya us ki banhon ke siwa kuchh na mujhe yaad raha ek ubharti rahi taswir khala mein barson main akela hi phira dasht-e-wafa mein barson jal bujha jism ke hamrah dil-e-sozan tak jaan dene chala aaya hun dar-e-jaanan tak mar rahun jaise be-bas-o-lachaar mare kya qayamat hai ki yun ishq ka bimar mare na-umidi hai ki ab taqat-e-didar gai rukh-e-jaanan ki hawas ruh-e-giraftar gai raat lo khatm hui aur zaban band hui mujh ko malum tha khamosh sawera hoga log phenk aaenge mujh ko jahan us marghat par maut ka chhaya hua ghor andhera hoga chil kawwon ne magar lash ke tukde kar ke har taraf kucha-e-jaanan mein bikhera hoga