ghar mein thi shadmani ek jashn-e-kaamrani dekha jo ye tamasha ammi se main ne puchha ammi ye baat kya hai kyun jashn ho raha hai ammi ye hans ke boli tu to badi hai bholi tujh ko khabar nahin hai bhayya ki kal hai shadi aaegi tere ghar mein kal ek shahzadi main jaanti nahin thi hoti hai kya ye shadi itna magar pata tha ye baat hai khushi ki sunna tha sirf itna masrur ho gai main fart-e-khushi se phir to maghrur ho gai main kahti saheliyon se bhayya ki kal hai shadi aaegi mere ghar mein kal ek shahzadi aai jo ghar mein dulhan dekha utha ke chilman mujh si hi ek ladki dulhan bani hui thi main ne jo nam puchha us ne kaha ki bhabhi