main ne tum se faqat ek sham mangi thi sukun ke sath chand lamhat tumhaare sath guzarne ke liye aur tum wo sham bhi na de saki yaqin mano tumhaari di hui sham amanat rahti mere pas main lauta deta tumhein wo sham wo amanat jab bhi tum tanha hotin kisi sham han yaqin mano main lauta deta tumhaari wo sham tumhaari wo amanat main aaj bhi muntazir hun us sham ka jab tum hongi main hunga aur hamare darmiyan gar kuchh hongi to hongi khamoshiyan sirf khamoshiyan na tumhaare honth kanpenge na mere lab hilenge na hoga koi fasla na hongi duriyan gar kuchh hongi to hongi khamoshiyan jo bahut kuchh kahengi kah jaengi aankhon mein aur bunengi alfaz mohabbat ke kai kai rangon mein aur mohabbat ka wo har rang khil uthega tumhaare chhu bhar dene se aur wo sham mere pas rah jaegi amanat ki tarah kabhi tumhein lautane ke liye