jo mujh ko lai thi sukun-gah mein wo ek thi sapid, sirf ek, us ke pahluon, jabin aur pusht par salib ke nishan the main chur chur ek azim ghao tha wo mujh ko dast-e-mehrban mein saunp kar chali gai to main ghunudgi ki be-karan muhib dhund mein bhatak gaya har ek rah-guzar pe gadiyon bason ka karwan umand pada ajib inqalab tha meri nazar ke samne wo ek pal mein sab sapid ho gain sapid sab sapid, un ke pahluon, jabin aur pusht par salib ke nishan dafatan ubhar ke aa gae alam-nasib un ke be-aman makin mere hi ham-nafas wafa-shiar wo aziz the jo sadgi se koi mushtahar fareb kha gae kisi muhib jang bhuk qaht ya waba ki zad mein aa gae