nutq ka eajaz hai urdu zaban waqt ki aawaz hai urdu zaban jis mein sur hain mukhtalif bhashaon ke wo anokha saz hai urdu zaban ye zaban ke sath hai tahzib bhi qabil-e-sad-naz hai urdu zaban mail-e-parwaz hai is ka adab manzil-e-parwaz hai urdu zaban qaumi yak-jehti se jo paida hui wo hasin aaghaz hai urdu zaban gita aur quran ki tafsiren liye mazhabon ka raaz hai urdu zaban hindu muslim sikh isai koi ho sab ki hi dam-saz hai urdu zaban is ka dushman dushman-e-amn-o-aman prem ka andaz hai urdu zaban sab zabanon par chadhi hai 'mauj' ye is liye mumtaz hai urdu zaban