chalo phir ek naya mazhab banaen kuchh aur logon ko bante aapas mein badhaen ranjishen un ki uksaen logon ko qatl-e-am ke liye kuchh marenge kuchh lahuluhan honge chingari jalti rahegi pidhi-dar-pidhi ek dusre ko nicha dikhane ki kuchh aur khud-gharaz kud padenge is ranjish ke khel mein sekenge rotiyan mayyat ki chingari par aag bujh gai to mazar ke diye se phir jala denge jala kar ghar hamara apna mahal raushan karenge bit jaengi kai pidhiyan bhul jaengi karan aapsi ladai ka dharm-guru phir uthenge sikh denge dharm-raksha ka kahenge lad-maro apne dharm ke liye lekin kabhi sewam dharm ki raksha ke liye ladne na aaenge chalo phir ek naya mazhab banaen kuchh aur logon ko banten aapas mein