hum ne dekhe hain wo u-s ke nirale kutte katne wale nahin bhunkne wale kutte meri mahbuba-e-maghrib ne bhi pale kutte main sambhaala na gaya us ne sambhaale kutte silsile pyar ke haiwan se jode us ne main to insan hun kutte bhi na chhode us ne god mein le liya madam ne paraya kutta kabhi chumi kabhi aaankhon se lagaya kutta baithna tha jahan shauhar ko bithaya kutta aaya husband to kahne lagin aaya kutta is mudaraat pe shauhar ko bhi hirs aati hai apne hathon se wo buldog ko nahlati hai har taraf kucha-e-dildar mein zam kutte hain zulm koi bhi ho arbab-e-sitam kutte hain hum pe kahte hain imarat ka bharam kutte hain aur kutte ye samajhte hain ki hum kutte hain hath mein le ke tab-o-tab jahan-banon ki rassiyan khinchte rahte hain ye insanon ki hae wo kutta-shanason ki siyasi chaalen jo faqat apni baqa ke liye kutte palen sath kutte ke wo burgar kabhi pizza kha len aur hamein dekhte hi aid ki haddi dalen hum se kahte hain zara aur hilao dum ko dum hilane ka saliqa nahin aata tum ko ek kutte ne kaha main jo hasin rahta hun kyun samajhte ho mujhe khak-nashin rahta hun jahan a-c ki sahulat ho wahin rahta hun main koi tisri duniya mein nahin rahta hun mujh ko khane mein jo khurak yahan milti hai wo tere mulk ke logon ko kahan milti hai hain mere shahr ke kutte jo purane wale wo hain panjon se mujhe zakhm lagane wale tang alfaz-o-maani mein udane wale meri takhliq ko danton se chabane wale har ishaat pe meri chaunkte rah jate hain main guzar jata hun ye bhunkte rah jate hain