mata-e-dard ko sahab shuur kho baithe sabaat-e-azm ko mard-e-ghuyur kho baithe nazar se mahw hai ummul-kitab ki tafsir huzur mani-e-ghaib-o-zuhur kho baithe gaya jo hath se iman to tahayyur kya wafur-e-aish mein takht-o-qusur kho baithe dil-o-dimagh se rukhsat jihad ka jazba sabil-e-haq ke zaruri umur kho baithe khudi se baqi thi mazhab ki aabru thodi sharab-e-faqr ka husn-e-surur kho baithe gharib millat-e-masum ka khuda-hafiz faqih-e-shahr tadayyun ka nur kho baithe qulub zinda se afsos hashmi farzand charagh ishq-e-ilahi ka nur kho baithe jahan mein kaise ho mearaj-e-zindagi hasil yaqin ki ruh ko sadrussudur kho baithe hakim-o-arif-o-sufi hain naqsh bar-diwar dil-o-dimagh se anwar-e-tur kho baithe zalil sahab-e-quran ho ye nahin mumkin zarur husn-e-amal ko huzur kho baithe uwais o bu-zar o usman ke ata-karda mazaq-e-faqr-e-mohammad zarur kho baithe khulus-e-dil se thi 'bebak' shaeri raushan payambari ke sukhnawar shuur kho baithe