zindagi rahat-e-jaan dard dil-e-zar bhi hai banjh kheti bhi hai aur kisht-e-guhar-bar bhi hai zindagi ek dhanak shokh rangon se bani zindagi qarz bhi hai farz bhi hai zindagi ek sarab zindagi jam-e-sharab zindagi husn-e-shabab zindagi bu-e-gulab zindagi kyun ho azab jis ne jis rang mein dekha ye bani waisi hi shad-nashad to aabaad hain barbaad yahan faqr ek phul bhi hai dhul bhi hai zindagi gahra samundar koi us falak-bos bulandi se pare log jite hain ki marna hai unhen zehn-o-mahaul ki tariki mein jis tarah hoga ba-har-taur guzar kar lenge log jine se bahut pahle hi mar jate hain ek tasahul ka bahana hai ye andaz un ka aao hum zist sajaen apni azmat-e-adam-o-hawwa na ghataen hargiz hum wafa-kesh banen khidmat-e-quam-o-watan apna saliqa ban jae husn ke phul bikheren khushbu pyar ke nur se raushan hon fazaen sari dil mein nafrat na rahe dard mit jaen mile sabr-o-qarar raushni pae hayat raat ki zulmaten mit jaen kahin kho jaen khugar-e-ranj banen waris-e-aurang-e-nashat sarkhushi pae hayat jina jab tak hai saliqe se jien maut aae to qarine se maren husn-e-tadbir se gulshan mein guhar-bari ho kaam kuchh aise karen zist jawed bane