main koi khwab likhun kahani mein biti kisi raat ka kahkashaon ki nagri se guzre hue raat odhe hue ek hasin sath ka is gagan ki katha bhi likhun jis pe nainon ke jhilmil diye jagmaga uthe the jis pe baadal hamari tarah khilkhila uthe the jis pe kohre ki chadar tale chand chup-chap tha aur kahin dur murli pe bajta koi saz tha wo jo khwahish si bahti hui kasni nahr thi wo jo aankhon se koson pare an-chhui sehr thi han wahi han wahi han wahi qahr thi mujh ko banhon mein apne chhupae hue barf ki silwaton se sarakte hue dhund odhe hue dudhiya raushni se pare chand ki ot mein tere pahlu mein simti hui raat khamosh thi main bhi mera ke jaisi kisi kirshn ki yogini thi magar main bhi nirdosh thi