najmi fahmi uzma raana aao dekhen chidiya-khana jin ke nam suna karte ho aaj unhen nazdik se dekho ek se ek parinde dekho aadam-khor darinde dekho mor saron par taj sajae nach rahe hain par phailae bulbul dekho tota dekho koyal dekho maina dekho khush-awaz papiha dekho hud-hud aur gaurayya dekho bhonra dekho titli dekho sher ki khala billi dekho zebra ghoda tattu khachchar baz kabutar kawwa titar wo dekho khargosh gilahri bara-singha aur wo hirni ban-manus aur bhaalu bhi hai newla aur kangaru bhi hai bandar ki naqqali dekho pit rahe hain tali dekho do do hathi jhum rahe hain dur gadhe bhi ghum rahe hain sheron ka ghurrana dekho tendwe ka bal khana dekho wo dekho afriqi gainda aur ye hindostani chita phan kadhe ek nagan bhi hai lomdi ek makkaran bhi hai buzdil gidad lakkad-baggha kaun banega leader is ka dilkash tair aabi dekho kaisi hai murghabi dekho machhli ko lahraate dekho meindak ko tarraate dekho ek magarmachh jag raha hai dekh ke kachhwa bhag raha hai aaj 'faragh' uncle ne dekha kalkatte ka chidiya-khana