main haal ka muzhda hun main raunaq-e-farda hun bachpan ka zamana hai khushiyon ka tarana hai meamar hun farda ka imroz thikana hai aankhon ko hamesha main sau khwab dikhata hun main haal ka muzhda hun main raunaq-e-farda hun padh-likh ke bada banna maqsad bhi hai kawish bhi insan ki khidmat ka jazba bhi hai khwahish bhi main nek azaem se dil apna sajata hun main haal ka muzhda hun main raunaq-e-farda hun man bap bahan bhai ulfat hai mujhe sab se ustad hon ya ahbab nisbat hai mujhe sab se khidmat ke liye un ki tayyar main rahta hun main haal ka muzhda hun main raunaq-e-farda hun main raj-dulara hun main phul se pyara hun man bap ki aankhon ka tabinda sitara hun main un ki umidon ka markaz hun mudawa hun main haal ka muzhda hun main raunaq-e-farda hun ya-rab hai dua meri neki ho ada meri nadan hun aasi hun tu bakhsh khata meri khush mujh se zamana ho ye aarzu rakhta hun main haal ka muzhda hun main raunaq-e-farda hun