suno ghaur se suno ek sogwar si dastak tumhaare dar pe kab se ho rahi hai jaante ho ye suiyon ki tak tak tumhein dhire dhire be-bas kar rahi hai guzarne wala koi pal bhi tumhaara nahin mahsus karo un hathon ki jumbish ko jo tumhaari giraft se aazad ho rahe hain kaise rok sakoge us ghadi ko jo mazi ko kuchal kar tumhaare mustaqbil par hans rahi ho bahut si ummiden aur khwab tumhaari aankhon mein jaankani ban ke thahre gae hain aankhen jin mein ab koi manzar nahin wahshat zada viraniyan tumhaare bistar ke gird lipat gai hain is khali aur udas faza mein kabhi raat ki rani ki khushbu se mahrum raat aati hai aur kabhi koi subh aisi bhi hoti hai jab suraj-mukhi tak suraj ki koi kiran nahin pahunchti tab sirf zawal ka phul khilta hai