mujhe sameto main reza reza bikhar raha hun na jaane main badh raha hun ya apne hi ghubar-e-safar mein har pal utar raha hun na jaane main ji raha hun ya apne hi tarashe hue nae raston ki tanhaiyon mein har lahza mar raha hun main ek patthar sahi magar har sawal ka baz-gasht ban kar jawab dunga mujhe pukaro mujhe sada do main ek sahra sahi magar mujh pe ghir ke barso mujhe mahakne ka walwala do main ek samundar sahi magar aaftab ki tarah mujh pe chamko mujhe bulandi ki samt udne ka hausla do mujhe na todo ki main gul-e-tar sahi magar os ke bajae lahu mein tar hun mujhe na maro main zindagi ke jamal aur gahma-gahmiyon ka payambar hun mujhe bachao ki main zamin hun karodon karodon ki kaenat-e-basit mein sirf main hi hun jo khuda ka ghar hun