sanwli! to mere pahlu mein hai lekin teri pyasi aankhen kabhi diwar ko takti hain kabhi jaanib-e-dar dekhti hain mujh se is tarah gurezan jaise unhen mujh se nahin diwar se kuchh kahna hai ya ye panchhi hain jinhen ek hi parwaz mein ud jaana hai hath nahin aana hai (ai meri sanwli! in aankhon ke donon panchhi gar ude bhi to mere dil ki taraf aaenge) sanwli! mujh ko teri aankhon ne wo fasane bhi sunae ki jinhen kahna chahen to tere hont faqat ji kah kar aur afsanon ko dohrane lagin ya tu beganon ki manind mere pas se guzre to kabhi meri taraf dekh ke chalna bhi gawara na kare lekin aankhon mein chamak aa jae maslahat hont to si le magar in aankhon ko kaise khamosh rakhe kaise unhen samjhae baat karti hai to aankhen nahin milne deti sanwli darti hai dil nain jharokon mein na aae