bahar ek aawaz hai tamam aawazon se mukhtalif faza ki murda shiryanon mein ek taza sachchai bhar dene wali aawaz be-his makanon mandlati hui mere darwaze par dastak deti hui kabhi maddham kabhi tez ek bechain dastak mujh se kuchh kahna chahti hai mujh tak pahunchana chahti hai thode hi fasle par khade ek mausam ki baat shayad meri hi koi baat lekin main darwaze tak kaise jaun use kaise kholun bahar khade mausam ko andar kaise laun main to arsa hua apne hath panw ba-taur-e-zamanat rakh chuka hun kis jurm mein kis ke pas rakh chuka hun bilkul bhul chuka hun