kunware khet meri khwahishon ke tishnagi ki dhup mein jalte hain sim aur thur mayusi ke kale qahr ki surat lahu ka ek ek qatra ragon se chuste jate hain pile mausamon ki chup bani hai bhag ki rekha ki sadiyon se pada hai qaht giton ka jo fasl katte waqt gati hain thirakti nachti basti ki baalaen yahan sadiyon se barkha-rut ko jiwan ka har ek lamha tarasta hai yahan kheton ke lab ki papdiyon par tishnagi ka qatra qatra bas tapakta hai