khamoshi mera lashkar hai lafzon ki daldal aur us mein palne wali jonken ye mutaffin aawazen meri yalghaar ke aage sabit-qadam rahengi? kya tum waqai aisa samajhte ho ki tumhaare maidan itne farakh hain ki mere asp-e-asil ko thaka denge tumhaare samundar itne mawwaj hain ki mera rizq ulat denge aur tumhaare pahad itne sanglakh hain ki mera jhanda na thamenge dushman ahmaq ho to mera ghussa badha deta hai saqahat meri muayyana maqtul hai aur khush-fahmi muqarrara mazbuh meri chinghad sur-e-israfil ka pesh-ahang hai lafz ki minminahat se pak andhe sayyaron ke takrao ki mafauq-e-samaat gadgadahat aawaz ki mukammal minhai ka shor likhe hue lafz ko bhi shaq kar deta hai ye ibaraten tumhaara saf-basta lashkar hain farzi hathiyaron se musallah ye lashkar jise khayali qilon ke brij girane ka bada tajraba hai is ki na-budi meri ek chup ke fasle par hai yaad! rakhna mere pas koi rassi nahin hoti jo tumhaare gale mein dalne aur tumhaare hath bandhne ke kaam aae mera fitrak hamesha khali rahta hai aur mere qaid-khane kabhi aabaad nahin rahe main jang se pahle hi dushman shumar kar leta hun phir maqtulin ki ginti nahin karta sab jaante hain mujh par neza phenkne walon ki paspai na-tamam rahti hai meri haibat se zamin maqnatis banti hai aur hawa kohrbai karti hai mera shikar bijliyan hankti hain maut mera tarkash utha kar chalti hai aur mera rath aandhiyan khinchti hain lafzon ke maktub jangal itne ghane nahin hain ki tumhein aag ki barish se tar-ba-tar na hone den sarf-o-nahw ka saeban itna bada nahin hai ki sitara-e-ajal tum se ojhal rah jae kitabon se itni unchi diwar nahin banti ki qital sannata phalang na sake kya hasin duniya thi jise tum ne lafzon se daghdar kar diya us ke tabinda aafaq in pinjron mein ghat kar saqitushshams ho gae hain kaisi zinda zamin thi jis mein tum ne zahr bo diya kaisa raushan aasman tha jise tum tariki ke mafhum mein sarf kar chuke ho tum ne shuur ko jhuta aur fitrat ko gadla kar diya hai mahz zaban ke chatkhare ke liye tum ne wajud ka asas-ul-bait farhangon ke mol bech khaya main kaenat ki bazyabi ke liye nikla hun mera khanjar lafz ka pet chaak karega mani ki zambil phad dalega aur kazzab ishaaron ke hath qalam kar dega jinhon ne sayyaron ko gumrah kar rakha hai be-zabanon ko muzhda ho haqiqat ka asli tanazur bahaal hone ko hai tumhaare dushman fasilon ke tasawwur mein mahsur hain siyah aaine ki ye makhluq jis ki manhus parchhain ne har taraf shor macha rakkha hai khud hi apna madfan hai meri aakhiri yalghaar se ho jaenge sare manazir sari aawazen aazad na-malfuz
This is a great bichadne wali shayari. Please share if you liked this!!!