suna hai id aai thi suna hai meri mitti ko watan laya gaya us din suna hai mere aaza ne adakari bahut achchhi tarah ki thi nazar ne chand bhi dekha zaban ne sari duniya ko mubarakbaadiyan bhi din badan ne subh-dam uth kar nahaya bhi nae kapde bhi pahne itr mal kar id-gah ja kar dogana bhi ada kar li gale ne bhi gale milne ka ek dastur-e-derina bahut jam kar nibhaya tha siwaiyan shir khane milne-julne id ki khushiyan manane ki sabhi rasmen ada ki thin magar ye kaun pagal hai meri mitti ke andar siskiyan bharta hua pagal ajab hasrat se kahta hai ki id aai nahin ab tak