ashnan karne ghar se chale lala-lal-chand aur aage aage lala ke un ki bahu gai puchha jo main ne lala lallain kahan gain nichi nazar se kahne lage wo bhi chu gai main ne diya jawab unhen az-rah-e-mazaq kya wo bhi koi chhat thi ki barish se chu gai kahne lage ki aap bhi hain maskhare ajab ab tak bhi aap se na tamaskhur ki khu gai chu hoshiyar par main nadi se hai ye murad bibi tamiz bhi hain wahin karne wuzu gai main ne kaha ki chu se agar hai murad ju phir yun kaho ki ta-ba-lab-e-ab-ju gai kyun ainthe hain mash ke aate ki tarah aap dhoti se aap ki nahin haldi ki bu gai lutf-e-zaban se kya ho sarokar aap ko daman ko aap ke nahin tahzib chhu gai hindi ne aa ke jim kuche se badal diya chu aai kohsar se gulshan se ju gai lahja hua durusht zaban ho gai karakht lutf-e-kalam-o-shistagi-e-guftugu gai mani ko hai gila ki hua be-hijab main shikwa hai lafz ko ki meri aabru gai afsos mulk mein na rahi farsi ki qadr masti udi sharab se phulon ki bu gai