sunta hai husn-e-shams-o-qamar dekhta nahin yani nizam-e-sham-o-sahar dekhta nahin us ke bhi pairahan pe gunahon ke dagh hain duniya ko chahta hai magar dekhta nahin us ko bhi hain nasib mohabbat ki lazzaten dil thamta hai tir-e-nazar dekhta nahin us ke bhi dil mein aag bhadakti hai ishq ki jalta hai aur raqs-e-sharar dekhta nahin us ke bhi sar ne paya hai ehsas-e-bandagi sajda mein gar tu jata hai dar dekhta nahin us ko sambhaal leti hain har bar thokaren chalta hai aur rahguzar dekhta nahin baaton se tad leta hai baatin ki haalaten milta hai aur ru-e-bashar dekhta nahin hansta hai sirf apne liye ghair par nahin rota hai aur daman-e-tar dekhta nahin malum hai tamawwul-o-ghurbat ki kashmakash aankhon se imtiyaz-e-nazar dekhta nahin us ko sukun chahiye jine ke waste rahta hai aur apna hi ghar dekhta nahin