har ek sans mein sargoshiyan hain nauhon ki kisi bhi lab pe koi jaan-faza tarana nahin simat simat gai angdaiyon ki pahnai hikayat-e-gham-e-dauran koi fasana nahin jo zulm hum pe hua hai ab us ka zikr hi kya yahan pe hum hi sitam-khurda-e-zamana nahin shikast-e-saz-e-mohabbat se sozish-e-gham se har ek aariz-e-gulgun se shabnam-aluda maal-e-ahd-e-wafa hai firaq-e-dida-o-dil naqib-e-daur-e-guzishta hai daur-e-maujuda