main ne bachpan mein suni thi andhe kuen ki kahani jab kabhi muddaton mein koi qafila bhatak kar bayaban jangalon mein ja nikalta aur pani ki talash mein yahan wahan bhatakte hue use milta ek bahut gahra andha kuan aur koi musafir fitri tajassus se majbur ho kar us andhe kuen mein utar jata tab use wahan milti ek shahzadi muddaton se qaid jise koi dew sote mein uda kar le aaya tha aur chhupa diya tha is andhe kuen mein zindagi bhar ke liye zindagi ke chand lawazimat samet taki wo zinda rahe kisi na kisi surat andhe kuen to aaj bhi hain magar wo ab jangalon mein nahin hote taqdir ki gardish mujhe bhi aise hi viran sannaton mein le aai hai lekin ab qafile nahin bhatakte aur main bhi koi shahzadi nahin hun