bachpan ke din

hae wo bachpan ke din
saf aur suthre sachche din

yaad bahut aate hain ab
apne the jab apne din

fikr-o-taraddud kis ko kahte
dur ghamon se jab the din

aankh-michauli aur kabaddi
gulli dande wale din

raaten rahat se bharpur
aur shararat wale din

pichhe pichhe titli ke
phulwari mein bite din

aam amrud ke pedon par
dal pe baithe khate din

kaghaz pencil aur kitab
aisi daulat wale din

jism ghubar-aluda le kar
talabon mein tairaate din

koi nahin tha dushman jab
sab ko dost banate din

tod len auron ke amrud
sab ke sath wo khate din

kat len kheton se ganne
chori pakde jate din

sham padhai mein guzre
hae wo maktab wale din

aah 'manazir' kis se kahen
mere wo lauta de din


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close