ai zamin naznin mah-jabin ai mari gulfam pari tera husn-o-shabab kya kahna jism tera hai jaise taj-mahal tera chehra shafaq ki lali hai teri aankhen hain chand aur suraj tere abru hain misl-e-qaus-o-quzah shakh-e-sandal hain marmarin bahen tere dandan damakte moti hain teri peshani pe damakta hua kahkashan ka jhumar lab hain tere gulab ki patti naghma-e-abshaar teri sada tera lahraata hua aanchal hain aasman par ye tere baadal aur teri chaal jaise lahrae nadi bal khae ai zamin jab talak na maut aae kyon na main tut kar tujhe chahun