hum sare school ke bachche chidiya ghar ki sair ko pahunche us ka har ek raaz naya hai jangal ka andaz naya hai newla chuha bandar dekha lomad ghoda kutta dekha jangal ke raja ko dekha pinjre mein be-chaara baitha sath hi ek talab bada tha us mein magarmachh ek pada tha chhote chhote sath the phirte ek duje par aa aa girte dur se ek chinghad si aai hathi ne phir shakl dikhai kangaroo bhi hum ne dekha ud-bilao bhi achchha tha dekha hum ne bhaalu aaya ghum raha tha kala saya kala tha ya gora gora aql se lekin tha wo kora richh ajab andaz se aae aa kar achchhe nach dikhae gende ki bhi baat ajab hai dhaal ajab hai chaal ajab hai aahu-e-tatar bhi dekha barasingha sath wahin tha bandar ke ausaf ko dekha hum ne phir giraffe ko dekha saras mor aur sanp jahan the bakri aur khargosh wahan the tota maina titar kawwa aur thi ranga-rang ki chidiya baz bhi dekha chil bhi dekhi hum ne to ababil bhi dekhi un se hum ne lutf uthaya un ko dekh ke dil bahlaya dekh ke chidiya-ghar jab aae dil mein khushi ke phul khile the