aaina rakh hua be-karan shab ki sisakti hui khamoshi mein chashm-e-hairat se pighalta hua sahra nikla reg-e-girya se kai naqsh bane tutte chubhte bikharte hue naqsh rag-o-resha se ulajhte hue naqsh nakhl-e-imkan ko bhasm karti hui aag uthi aag zholida khayalon ko jalati hui aag jism mein rakh siyah rakh bichhati hui aag aur is rakh se ummid ka jhulsa hua aks band kamre mein andhere ka sahaara pa kar bain karta dar-o-diwar ke andar nikla aaina rakh hua ghar ki dahliz se kuchh khak udi baam pe rakkhe charaghon ki wo thahri hui lau band hote hue darwaze ki aawaz ke sath kapkapate hue madum hui sahn mein rakhe hue gamle se gul-e-nargis ki ladi tut giri kuchh parinde ghani shakhon se ude aur dalan mein jamun ka shajar sukh gaya