us ko shak tha khuda ne do aadhe jism amudan jod ke us ko tamir kiya hai jis mein ek hissa apna aur ek paraya hai wo aadhe aadhe do jismon ka hasil hai wo aksar raat ke kale chehre se dar jata to apni hi god mein chhup kar rone lagta khud se baaten karta diwaron se sar takraata apni takmil ki khatir donon aadhe jismon ko bistar par tanha chhod ke apne asli hisse ki talash mein kho jata lekin khali hathon ko jab dozakh ki jaanib latkae wapas aata apni hi gardan mein bazu dale khud se lipat kar so jata