andheri raat ke musafir zara dam to lo zamin sanglakh safar tanha sada-ba-sahra teri pesh-qadmi ko betab afkar ke tir tujhe andhere mein jugnuon ki talash phir ummid ka ek naya fareb himmat-o-hausla ki sarakti chadar haalat ke kanton mein phansi aisi ki nikal bhi na saki manzil ki talash mein tanha musafir zara dam to lo andheri raat ke musafir zara dam to lo khud-farebi ki shama thame in na-hamwar rahon par le gaya khwab mujhe siyah raaton mein jalte bujhte charaghon ke sath manzil ki talash mein sargardan tanha musafir zara dam to lo andheri raat ke musafir zara dam to lo