qissa hai ye do sal pahle ka ek masum si bachchi ke bachpane ka puchha mujh se beti ki beti ne yani pyari si ek nawasi ne nanu kabhi jadon mein kabhi garmi mein aur kabhi tez musla-dhaar barish mein kya kya kahaniyan aap mujhe sunati hain sunte sunte main kabhi so jati hun kabhi mahw-e-hairat bani takhayyul mein kho jati hun mera nanha sa zehn mayus sa rah jata hai qissa-e-yusuf ki zulekha to bilkul hi bhati nahin han yusuf ki mohabbat mein un ke baba ka rona dil dukhata hai kashti-e-nuh mein jaanwaron ka hujum uf allah musa ki chhadi sanp ban jaana bahut daraata hai aaj mausam to bada garm hai aur bijli bhi gul main aaj aap se ek sawal puchhti hun nanu duniya gar na ghumti to ye mausam-e-garma kaise aata bagh mein phulon ki bahaar sardiyon mein hi kyon aati hai jannat ka manzar to bada khushnuma bataya aap ne allah to bada rahim-o-karim hai to phir jahannum kyon banai justuju hai ye mujhe ki aadam-o-hawwa jo duniya mein aae kaun si rut chal rahi thi aur kaun sa tha mausam zamin tap rahi thi ya sardiyon ki thi thandi raat chal rahi thi patjhad ki garm hawaen ya tha sarsabz mausam-e-barsat soch kar mere in sawalon ka jawab bataen tab phir aap is qissa ko aage badhaen in qisson ki haqiqat mein main bahut kho jati hun isi liye t w khol ranginiyon mein gum ho jati hun