bhaarat ka anmol ratan the maulana aazad sachche ek muhibb-e-watan the maulana aazad bu-e-gul nau-rang-e-chaman the maulana aazad in ke hi isar-o-amal se des hua aabaad bhaarat ka anmol ratan the maulana aazad aazadi ka khwab dikhaya apne akhbaron se bedari ka path padhaya apne akhbaron se qaum ka apni azm badhaya apne akhbaron se un ke hi isar-o-amal se des hua aabaad bhaarat ka anmol ratan the maulana aazad qaid-o-band mein rah kar bhi likkhin kitni tahriren ek hue sab hindu muslim aisi kin taqriren des hua aazad hamara sochen wo tadbiren un ke hi isar-o-amal se des hua aabaad bhaarat ka anmol ratan the maulana aazad dur-andeshi aisi jis ka koi nahin tha sani haq-goi thi aisi in ki baat har ek ne mani un ke azm ke aage ho gae dushman pani pani un ke hi isar-o-amal se des hua aabaad bhaarat ka anmol ratan the maulana aazad ek mufakkir ek mudabbir ek siyasat-dan bhi mulk-o-qaum ki khatir dene ko tayyar the jaan bhi kya duniya mein paida hoga phir aisa insan bhi un ke hi isar-o-amal se des hua aabaad bhaarat ka anmol ratan the maulana aazad dil ko raushan kar deti hai tafsir-e-quran insanon se ulfat karna tha un ka iman sab kuchh likh kar bhi baqi tha likhne ka arman un ke hi isar-o-amal se des hua aabaad bhaarat ka anmol ratan the maulana aazad