shohrat hai teri bapu har su mere watan mein tera hi tazkira hai duniya ki anjuman mein tu phul ban ke mahka kuchh is tarah chaman mein khushbu sama gai hai afsurda jaan-o-tan mein tu sadr-e-anjuman hai tu nazish-e-watan hai tu rang-e-dilbari hai tu nikhat-e-chaman hai tujh ko thi misl-e-iman apne watan se ulfat akhlaq se mitai tu ne bina-e-nafrat mazhab tha sirf tera khalq-e-khuda ki khidmat ai qaum ke masiha ai fakhr-e-adamiyyat tera karam hai kitna bhaarat ki sar-zamin par azmat ki raushni hai ab hind ki zamin par jah-o-hasham ka lalach dil mein kabhi na aaya jo dusron se chaha wo kar ke khud dikhaya chhote bade ki tu ne tafriq ko mitaya insaniyat ka paiham sab ko sabaq padhaya tere zaban-o-dil mein tha ek rabt-e-sadiq tu adl ka pujari ruhaniyat ka aashiq sare chaman mein raqsan hai aaj husn-e-fitrat kaliyon mein hai mohabbat phulon mein hai ukhuwwat tu ne watan ko bakhshi husn-e-yaqin ki daulat tu ne bana diya hai bhaarat ko misl-e-jannat ye inqalab aaya tere hi fikr-o-fan se aazad hum hue hain bapu teri lagan se