itwar ki dopahar to hamesha hi achchhi hoti hai bilkul tumhaari tarah be-fikr be-parwah aazad main ne bhi hamesha ise apne hi tariqe se bitaya hai par jaane kyun kuchh arse se jab bhi ye sukun bhara waqt apne sath bitane ki koshish ki tum dur-daraaz ke waqton se nikal ke chup-chap mere qarib baith jate ho mere hathon ki khuli kitab band kar ke apne hi qisse sunane lagte ho december ki sardi barish ki bunde aur itwar ki dopahar wahi qissa jo tum ne jiya tha kabhi mere sath lag-bhag har hafte dohraate ho aur mujhe ehsas bhi nahin hota ki main qaid hun kuchh aazad se lamhon mein hamesha ke liye