jahan mein bar-e-khudaya koi wakil na ho wakil ho to wakalat mein be-adil na ho jo be-adil bhi ho jae to jamil na ho jamil ho to siyasat mein kuchh dakhil na ho ye khubiyan jo ba-yak-waqt koi pata hai dimagh us ka yaqinan kharab jata hai har ek ko dekhne lagta hai wo hiqarat se kisi se baat bhi karta hai gar to nakhwat se har ek ko karta hai marub apni fitrat se qadam zamin pe rakhta nahin raunat se zamir-e-qaisar-o-haman ban ke rahta hai wo apne ahd ka shaitan ban ke rahta hai kabhi kabhi use hota hai apni zat pe naz kabhi ghamand liyaqat pe aur sifat pe naz kabhi namaziyon mein saum aur salat pe naz gharaz ki us ko hai apni har ek baat pe naz yahi jo haal raha us ki khud-satai ka ajab nahin ki wo dawa kare khudai ka aur us ke sath jo hai ek bahut bada wasfi munafiqat mein hi jis ki tamam umr gai pae-numud rahi jis ko roz bechaini kisi ne khub kasi us ko dekh kar phabti khuda ka shukr ki ek ahd hila-saz mila khuda ka shukr ki mahmud ko ayaz mila