ye chhan-chhan ki aawaz jo tum sun rahe ho meri pael ki nahin hai ye aawaz hai un masum sapnon ki jo haqiqat ke farsh par har pal ghunghruon ki manind tut kar bikhar rahe hain ye khan-khanahat ki aawaz jo meri chudiyon si jaan padti hai ye aawaz hai un sakht bediyon ki jo mere hathon ko tumhaare hathon ki or badhne se rok rahi hain meri aawaz mein jhalakti khushi aur honton par saji muskurahat sirf ek yahi jhut tumhein khush dekhne ke liye ye lab bar bar har bar dohraate hain magar sab kuchh jaante hue bhi ye dil kuchh bhi manne ko tayyar nahin ye ab bhi chahta hai in bikhre sapnon ko apni palkon se samet kar tumhaari aankhon mein sajaana in sakht bediyon ke bandhan mein tumhein apne sath bandh lena aur ek bar phir in jhute honton se nahin sachche dil se dil khol kar muskurana